Thursday, April 2, 2009

HAAN MAI BEKAR HUN

haan mai bekar hun...
samaj k sar par bojh bankar sawar hun...
haan, haan mai bekar hun...

haan maine bhi bahut koshish ki thi..
izzat se jeene ki..
apne pairon pe khade hone ki..
par mai nakamyab raha..
mai kuchh kar nahi paya...
rishwatkhoron k muh me note bhar nahi paya...
kyonki mai apni gareebi se lachar hun...
haan haan mai bekar hun..

mujhe yaad hai..
jab maine pahli baar jawani ka geet gaya tha...
khud ko auron se alag paya tha...
sapno me jiya karta tha..
asafaltaon se nahi darta tha...
waqt kab mere hath se nikal gaya..
band mutthi se ret ki tarah fisal gaya...
mai dekhta rah gaya...
mai kuchh kar nahi sakta tha..
aaj mai khud ki nazron me sharmsaar hun...
haan haan mai bekar hun...

mere pariwar ko thi mujhse bahut see ummeeden..
par maine udaa dee unki neenden..
kahte the wo mujhse waqt badalte der nahi lagti sambhal jaao...
budhape ka sahara tumhe hin banna hai hampar thoda toh taras khao...
par mai unhe khushiyan de na paya...
aashish unki le na paya...
aaj mai apne ma baap k ehsaano ka karzdaar hun...
haan haan mai bekar hun...

ab mai jeena nahi chahta...
ghum k aansu peena nahi chahta...
chahata hun ek baar waqt loutkar aa jata...
toh shayd mai kuchh kar pata..
par kisi ne kaha hai...
"guzra huaa zamana aata nahi dobara".........
ab sab kuchh khatm ho chuka hai...
aaj apna bhi aankhe churata hai...
khud ko meri nazron se chhupata hai...
dushman sa ho gaya hai sara jahan hamara...
aaj mai apni hin karni se beemar hun..
haan haan mai bekar hun

samaj k sar par bojh bankar sawar hun...
haan han mai bekar hun........

No comments: