Thursday, April 2, 2009

BETI GHAR SE CHALI GAEE..

khatiya toh apni khadi ho gai hai...
jab se ye bitiya badi ho gai hai...

neend nahi hai aankkho me aur chain nahi hai raton me
na janu din katta kaise idhar udhar ki baato me..
chhoti see wo meri beti pyari pyari lagti thi..
papa mujhko gudiya la do rote rote kahti thi..
lekin jab se badi hui hai tab se hin gambhir hui...
jaise ho ek kachcha dhaga usme lipti ek sui...
uska chehra chand ka tukda uski aankhe shabnam see..
na jane wo kyon murjhai rahti hai wo hardam hin...

kahti thi ro ro k papa meri shadi mat karna tum...
tumko chhor na jaungi apne se door na karna tum..
khelungi bhaiya k sang aur nachungi bahna k sang..
aakash me dekho kitne taare indradhanush me kitne rang..
soungi ma ki godi me karungi uska sara kaam...
kahne do duniya jo kahti karne do mujhko badnaam...
kahegi yehi na duniya ki beti ghar me rahti hai...
kya dard jo hota beti ko wo duniya sahne aati hai....
pyari beti ghar se jaaye ye hota kiska man hai...
lekin reet yehi duniya ki beti toh paraya dhan hai....

ghar me agar badi beti ho toh sir sharm se gadta hai...
dil pe bada sa paththar rakh k vida toh karna padta hai...
pyari beti ghar se jaye ye hota kiska man hai...
lekin reet yehi duniya ki beti toh paraya dhan hai.....
ye kaisee reet hai duniya ki haaye niyam ye kaisa hai...
beti ko ghar se nikal do chalan yaha ka aisa hai...
sasural me agar sukh bhi ho toh mayke ki yaad satati hai..
din raat wahin ki baaten karti wahin ki baat batati hai..
waha ka pyar dular waha ki baate socha karti hai...
bura jo sunti kisi k muh se gusse se ubla karti hai..

bhul nahi paati hai doudkar ma ki aanchal me wo chhup jana..
ek daant padte hin papa ki jhat se wo chup ho jana..
chhto see ek baat pe rona jhuth muth nakhre karna...
wo bhai bahan ka hasna gana kaha hai wo jhagde karna...

chhoti see chheek bhi aane se papa ki jaan nikalti thi..
raat raat bhar jaag jaag ma uski seva karti thi...
kahan gaya wo pyara bachpan kahan gaya ghar ka angna..
jaha baithkar meri beti dekha karti thi sapna....
jane se uske gahr ka aangan ho gaya bilkul soona..
yaad aata hai beti ka wah phool pattiyon ko chhuna..
khilkhilati thi hardam wo hardam hasti rahti thi..
es kamre se us kamre tak ghar me douda karti thi..
lekin kal tak thi jo apni aaj se parai hui...
beti beti meri beti beti ghar se chali gai..

haste ghar ko chali gai ek pal me karke udaas..
ab toh koi rokega mujhko dil me liye yehi ek aas..
lekin kisi ne bhi nahi kaha beti lout aa...
dulhe ji k sang bithakar har koi bola ab tu jaa...
peechee mud mud k dekha ro ro k aankhe laal hui..
beti beti meri beti ,beti haaye chali gai..

jane se uske kaanp utha gahr ka har kona kona..
kaanp jaati hai rooh bhi meri jab yaad aata hai uska rona...
wo toh chali gai par haaye yaaden uski nahi gai...
beti beti meri beti,beti kahe chali gai...

bachpan se jo sath me rahti ek pal me ho jati door..
ye kaisee reet hai duniya ki kyon hota aisa dastoor..
ye reet hai jis durjan ki den wo jallad tha ya kasai tha..
mujhe toh lagta hai wah kisi k ghar ka jamai tha...
kaise bhulenge mummy papa kaise bhulenge bhai bahan..
jo unke sang bitaye the usne wo apne bachpan...

chhoti see taqleef bhi ho toh wo ghar ko sar pe uthati thi..
har ek dard ko wo apne mummy papa ko batati thi..
badi badi taqleef abhi wo has kar k sah jaati hai..
har ek dard ko wo apne dil me hin kyon chhupati hai...
khushiyon se bhara hai uska daman aise hume jatati hai..
kuchh bhi puchho toh wo humko sab kuchh achchha hin batati hai...
dekh use vishwas na hota ki ye wahi dulari hai..
jo kal bhi jaan se pyari thi aur ab bhi jaan hamari hai..

koi toh insaaf karaye..koi toh upay batae..
aakhir kyon nahi hote bete apno se paraye..
kyon beti hi apni hone par bhi parai kar dee jaati hai...
kuchh nahi kahti kisi se chup ho suli chadh jaati hai..

tod do aisee ajab reet ko tod do duniya ka dastoor..
jisme beti ko kar dete haaye apno se hin door..
tod k kar do aisee reet jaisee maine tumhe batai...
beti bahu bane nahi beta hin ban k rahe jamai...

SUMAN..

HAAN MAI BEKAR HUN

haan mai bekar hun...
samaj k sar par bojh bankar sawar hun...
haan, haan mai bekar hun...

haan maine bhi bahut koshish ki thi..
izzat se jeene ki..
apne pairon pe khade hone ki..
par mai nakamyab raha..
mai kuchh kar nahi paya...
rishwatkhoron k muh me note bhar nahi paya...
kyonki mai apni gareebi se lachar hun...
haan haan mai bekar hun..

mujhe yaad hai..
jab maine pahli baar jawani ka geet gaya tha...
khud ko auron se alag paya tha...
sapno me jiya karta tha..
asafaltaon se nahi darta tha...
waqt kab mere hath se nikal gaya..
band mutthi se ret ki tarah fisal gaya...
mai dekhta rah gaya...
mai kuchh kar nahi sakta tha..
aaj mai khud ki nazron me sharmsaar hun...
haan haan mai bekar hun...

mere pariwar ko thi mujhse bahut see ummeeden..
par maine udaa dee unki neenden..
kahte the wo mujhse waqt badalte der nahi lagti sambhal jaao...
budhape ka sahara tumhe hin banna hai hampar thoda toh taras khao...
par mai unhe khushiyan de na paya...
aashish unki le na paya...
aaj mai apne ma baap k ehsaano ka karzdaar hun...
haan haan mai bekar hun...

ab mai jeena nahi chahta...
ghum k aansu peena nahi chahta...
chahata hun ek baar waqt loutkar aa jata...
toh shayd mai kuchh kar pata..
par kisi ne kaha hai...
"guzra huaa zamana aata nahi dobara".........
ab sab kuchh khatm ho chuka hai...
aaj apna bhi aankhe churata hai...
khud ko meri nazron se chhupata hai...
dushman sa ho gaya hai sara jahan hamara...
aaj mai apni hin karni se beemar hun..
haan haan mai bekar hun

samaj k sar par bojh bankar sawar hun...
haan han mai bekar hun........